Zindagi ki jeet hain...
Mana, raaton ne khoya
hain apna chand kahi
subah hi doobe hain
na jane suraj kai
dhundhli hain par
roshni ki lau hain nai
'aaj' se raushan
mere ateet hain
issi mein to
zindagi ki jeet hain...
Mana, kaali ghatao ne
armano ko bhigo diya
par geele pankho se bhi
udna seekh hi liya
sapno ko bojhil aankhon mein
mehfuz kar hi diya
ab to khamosh tanhai
hi chanchal manmeet hain
issi mein to
zindagi ki jeet hain...
Mana, rah gayi kuch
anjani ankahi baatein
Taare gin gin par
jaagte katati hain raatein
ek pal doobti ek pal
jaagti hain hasratein
shayad udaano ki
aise hi reet hain
issi mein to
zindagi ki jeet hain...
Lyrics by: Piyush Singh
hain apna chand kahi
subah hi doobe hain
na jane suraj kai
dhundhli hain par
roshni ki lau hain nai
'aaj' se raushan
mere ateet hain
issi mein to
zindagi ki jeet hain...
Mana, kaali ghatao ne
armano ko bhigo diya
par geele pankho se bhi
udna seekh hi liya
sapno ko bojhil aankhon mein
mehfuz kar hi diya
ab to khamosh tanhai
hi chanchal manmeet hain
issi mein to
zindagi ki jeet hain...
Mana, rah gayi kuch
anjani ankahi baatein
Taare gin gin par
jaagte katati hain raatein
ek pal doobti ek pal
jaagti hain hasratein
shayad udaano ki
aise hi reet hain
issi mein to
zindagi ki jeet hain...
Lyrics by: Piyush Singh
0 Comments:
Post a Comment
<< Home